us kī jānib dekhte the aur sab ḳhāmosh the
us kī āñkheñ boltī thiiñ aur lab ḳhāmosh the
yuuñ to dil vaale the mahfil thī magar aalam thā ye
us kā jaadū thā jo hairat ke sabab ḳhāmosh the
chāñd ik nazdīk se dekhā thā jab samrān meñ
ham bhī kuchh kahte par apne chashm-o-lab ḳhāmosh the
ik sukūt-e-marg taarī thā chaman-zādoñ ke beach
mahv-e-ḳhvāb-e-ḳhush-dilī the misl-e-shab ḳhāmosh the
sab ke chehroñ par likhī thiiñ ḳhvāhisheñ 'sultān-rashk'
yuuñ to lab-basta the saare bā-adab ḳhāmosh the