likh rahā huuñ harf-e-haq harf-e-vafā kis ke liye
māñgtā huuñ zinda rahne kī duā kis ke liye
phuul haiñ sab ek gulshan ke to phir taḳhsīs kyuuñ
sehn-e-gulshan meñ ye zahrīlī huā kis ke liye
maiñ to nākām mohabbat huuñ chalo rusvā huā
tau batā hai terā paimān-e-vafā kis ke liye
maiñ to ik ḳhvāhish kī bhī takmīl par qādir nahīñ
ye shikva ḳhusravāna ye anā kis ke liye
mujh ko ḳhush-fahmī nahīñ hai ai havā phir bhī batā
muztarib hai vo taġhāful āshnā kis ke liye
kho chukā hai us ko jab to ḳhud hī ai sultān-'rashk'
ab dhaḌaktā hai dil-e-be-mudda.ā kis ke liye