Sultan Rashk

dhup ki shiddat mein nange panw nange sar nikal

Sultan Rashk

dhuup kī shiddat meñ nañge paañv nañge sar nikal
ai dil-e-sāda savād-e-jabr se bāhar nikal
kal kā sūraj shād-kāmī kī ḳhabar de yā na de
chhoḌ andeshe hisār-e-zāt se bāhar nikal
maiñ ka.ī sadiyoñ se gum huuñ ḳhvāb ke sakrāt meñ
āftāb-e-sub.h-e-bedārī mire sar par nikal
sāhiloñ par tere istiqbāl ko aayā hai kaun
Dūbne vaale ubhar phir sat.h-e-dariyā par nikal
ahd dār-o-gīr hai apnā tashaḳhḳhus gum na kar
soch kī saarī fasīleñ toḌ kar bāhar nikal
tīsrī duniyā munavvar ho mire afkār se
mehr-e-āzādī mire ehsās ke andar nikal
apne ḳhad-o-ḳhāl dekhūñ maiñ bhī ai sultān-'rashk'
merī āñkhoñ se magar ai ḳhvāb ke manzar nikal
Top Urdushayar.com