Salam Machhli shahri

in ghazalan-e-tarah-dar ko kaise chhoDun

Salam Machhli shahri

Machli shahar, Uttar pradesh, India

1921-1973
in ġhazālān-e-tarah-dār ko kaise chhoḌūñ
jalva-e-vādī-e-tātār ko kaise chhoḌūñ
dard-āgīñ hī sahī barbat-e-pas-manzar-e-bazm
nashsha-e-hā-e-lab-o-ruḳhsār ko kaise chhoḌūñ
ai taqāzā-e-ġham-e-dahr maiñ kaise aa.uuñ
lazzat-e-dard ġham-e-yār ko kaise chhoḌūñ
maiñ ḳhizāñ meñ bhī parastār rahā huuñ us kā
mausam-e-gul meñ chaman-zār ko kaise chhoḌūñ
ai mire ghar kī fazāoñ se gurezāñ mahtāb
apne ghar ke dar-o-dīvār ko kaise chhoḌūñ
haa.e dard-e-dil-e-bezār ki hañgām-e-ḳhumār
dost kahte haiñ ki mai-ḳhvār ko kaise chhoḌūñ
aaj to sham.a havāoñ se ye kahtī hai 'salām'
raat bhārī hai maiñ bīmār ko kaise chhoḌūñ
Top Urdushayar.com