Sultan Rashk

nafrat jo hai dil mein lab-e-KHandan mein nahin hai

Sultan Rashk

nafrat jo hai dil meñ lab-e-ḳhandāñ meñ nahīñ hai
jo baat hai mazmūñ meñ vo unvāñ meñ nahīñ hai
kyā jāniye kal pichhle pahar kaisī havā thī
ḳhushbū kā pata aaj gulistāñ meñ nahīñ hai
ai masjid-e-aqsā tū jale aur maiñ dekhūñ
kyā azm-e-tahaffuz bhī nigahbāñ meñ nahīñ hai
matlūb hai vo jins jo nāyāb bahut hai
us chiiz kī ḳhvāhish hai jo imkāñ meñ nahīñ hai
jo soch sake mere liye merī tarah se
vo shaḳhs mire halqa-e-yārāñ meñ nahīñ hai
ai 'rashk' ho jis se dil-e-dariyā mutalātum
aisā koī andāz hī tūfāñ meñ nahīñ hai
Top Urdushayar.com