jaane kyuuñ bātoñ se jalte haiñ gile karte haiñ log
terī merī dostī ke tazkire karte haiñ log
sañg-bārī kar rahe haiñ dūsroñ ke sahn meñ
aur chaknā-chūr apne aa.ine karte haiñ log
jin kā da.avā thā mudāvā hogā sab ke dard kā
ab to un kī zaat par bhī tabsire karte haiñ log
apnā ghar raushan ho zulmat meñ rahe saarā jahāñ
jaane kin lamhoñ meñ aise faisle karte haiñ log
har bikhartī rut meñ jaag uThte haiñ yādoñ ke jahāñ
apne apne be-vafāoñ ke gile karte haiñ log
rañg hai be-qaid imkāñ aur ḳhushbū lā-makāñ
is sarāpā rañg-o-nik.hat se gile karte haiñ log