mere ḳhush-ā.ind-mustaqbil kā paiġhambar bhī tū
merī barbādī kā merī jaan pas-manzar bhī tū
tū ki fitrat kī tarah hai kis tarah tasḳhīr ho
yaar ḳhush-manzar bhī tū ziddī bhī tū ḳhud-sar bhī tū
ik tazād-e-husn-e-ma.anī hai tirī ta.amīr meñ
dastaras meñ bhī giraft-e-vaqt se bāhar bhī tū
tere chehre se ayaañ us ke na milne kā alam
ḳhush-nazar aatā nahīñ us shaḳhs se mil kar bhī tū
mere fan kī saarī zebā.ish tirī nisbat se hai
jo chhupā hai mere sheroñ meñ vo dānish-var bhī tū
ruuh to pahle bhī thī ab ke badan bhī hai asiir
ab to yuuñ lagtā hai jaise ho mirā paikar bhī tū
tū hī sañg-e-mīl hai apne liye sultān-'rashk'
apne hī raste meñ jo haa.il hai vo patthar bhī tū