rañg laa.ī hai mirī zaat se ġhaflat merī
mere andar mutazalzal hai hukūmat merī
bechtā phirtā huuñ ḳhud ko sar-e-bāzār-e-hayāt
mujh ko rusvā kiye rakhtī hai zarūrat merī
Dūbtā jaatā hai har shaḳhs sar-e-sāhil-e-shab
baḌhtī jaatī hai magar shab se aqīdat merī
āte-jāte haiñ mah-o-mehr bashar kī zad meñ
aur maiñ ḳhush ki daraḳhshāñ hai rivāyat merī
vaqt vo hai ki har ik qadr kā mafhūm nayā
aur be-gāna-e-hālāt tabī.at merī
apne chehre pe sajā.e bhī nahīñ zaḳhm magar
dil kā ā.īna huī jaatī hai sūrat merī