maiñ kho gayā to shahr-e-fan meñ dastiyāb ho gayā
yahāñ jo harf miT gayā vahāñ kitāb ho gayā
vo ik nazar to kuchh na thī ki raah se bhaTak ga.ī
palaT ke us ko dekhnā yahī azaab ho gayā
hamārī fahm-e-nā-rasā ke vāste bachā hī kyā
ki husn-e-kā.enāt to tirā naqāb ho gayā
gunāh mere yaad kar ke zaḳhm saare hañs paḌe
lahū lahū badan mirā khilā gulāb ho gayā
ziyāñ o suud miT ga.e karam pe us ke rah ga.e
hamārī saarī zindagī kā ye hisāb ho gayā
vajūd jal ke rah gayā sharār-e-lā-shu.ūr se
bharā paḌā makān thā khañDar ḳharāb ho gayā
'suhail' shor-e-shahr se panāh ab kahīñ nahīñ
hurūf reza reza haiñ suḳhan ḳharāb ho gayā