āñkhoñ ko mayassar koī manzar hī nahīñ thā
sar merā garebān se bāhar hī nahīñ thā
be-faiz havā.eñ thiiñ na saffāk thā mausam
sach ye hai ki us ghar meñ koī dar hī nahīñ thā
sar chain se rakkhā na ruke paañv ke dil meñ
ik baat bhī paivast thī ḳhanjar hī nahīñ thā
ham haar to jaate hī ki dushman ke hamāre
sau pair the sau haath the ik sar hī nahīñ thā
sahrā meñ vo sab kuchh thā jo thā shahr meñ apne
ik nafā o nuqsān kā daftar hī nahīñ thā
hāthoñ pe dharā sar ko 'suhail' aur chale ham
ab baab koī aur mayassar hī nahīñ thā