Salam Machhli shahri

hum aise log jald asir-e-KHizan hue

Salam Machhli shahri

Machli shahar, Uttar pradesh, India

1921-1973
ham aise log jald asīr-e-ḳhizāñ hue
lekin ġhurūr-o-tamkanat-e-gulistāñ hue
tūfān-e-ahd-e-tāza tirā shukriya ki ab
jitne sitāre zehn meñ chamke dhuāñ hue
aa.e haiñ phuul dhuup se bachne mirī taraf
merā hī dil hai chāñd jahāñ mehmāñ hue
jab tum mile to sāmne mai-ḳhāna mil gayā
aur falsafe hayāt ke sab rā.egāñ hue
merī nazar se aaj gurezāñ hai gulistāñ
merī nazar kī chhāñv meñ ġhunche javāñ hue
ab kuchh nahīñ hai ma.abad-e-getī ḳhatā muaaf
motī se ashk sarf-e-mah-o-kahkashāñ hue
ab mā-hasal hayāt kā bas ye hai ai 'salām'
cigarette jalā.ī sher kahe shādmāñ hue
Top Urdushayar.com