Suhail Ahmed Zaidi

jaan tan ka sath de na to dil hi wafa kare

Suhail Ahmed Zaidi

1930-2007
jaañ tan kā saath de na to dil hī vafā kare
kyā rah gayā hai jis kā koī tazkira kare
sab dekh sun chukā magar ab bhī safar meñ huuñ
qadmoñ ko kaun rāhguzar se judā kare
āshuftagī kā merī pata de mirā mazār
ik gard-bād roz vahāñ se uThā kare
muddat huī ki bhuul gayā mujh ko shahr-e-yār
chup lag ga.ī mujhe to vo bechāra kyā kare
tark-e-safar pe raah se ye bad-duā milī
bistar meñ tere paañv kā talvā jalā kare
sakta sā lag gayā hai mire yaar ko 'suhail'
āñkheñ haiñ ashk-bār na dil hī duā kare
Top Urdushayar.com