maiñ kyā karūñ koī sab mere iḳhtiyār meñ hai
safar meñ hai to bahut kuchh magar ġhubār meñ hai
charāġh-e-sub.h se ham lau lagā.e baiThe haiñ
sunā hai jab se ki ik gul bhī is sharār meñ hai
uḌā ke sar vo hathelī pe rakh bhī detā hai
bhalī ye baat to maano ki shahryār meñ hai
kalī khile to garebān yaad aatā hai
ye dukh ḳhizāñ meñ kahāñ thā jo ab bahār meñ hai
hayāt sabza-o-gul se tavīl hai us kī
tumhāre ashk mirā ḳhuun kuchh to ḳhaar meñ hai
hujūm us kī galī meñ hai sarfaroshoñ kā
'suhail' lāġhar o laffāz kis shumār meñ hai