Suhail Ahmed Zaidi

isi mamul-e-roz-o-shab mein ji ka dusra hona

Suhail Ahmed Zaidi

1930-2007
isī māmūl-e-roz-o-shab meñ jī kā dūsrā honā
havādis ke tasalsul meñ zarā sā kuchh nayā honā
hameñ to dil ko bahlānā paḌā hiile havāle se
tumheñ kaisā lagā bastī kā be-saut-o-sadā honā
sanam bante haiñ patthar jab alag hote haiñ Takrā kar
ajab kār-e-abas miTTī kā miTTī se judā honā
magar phir zindagī bhar bandagī duniyā kī hai varna
kise achchhā nahīñ lagtā hai thoḌā sā ḳhudā honā
miTānā naqsh us ke baaġh kī kohna fasīloñ se
hare pattoñ pe us ke nām-e-nāmī kā likhā honā
Top Urdushayar.com