peḌ ūñchā hai magar zer-e-zamīñ kitnā hai
lab pe hai nām-e-ḳhudā dil meñ yaqīñ kitnā hai
ham ne to muuñd liiñ āñkheñ hī tirī diid ke baad
bul-havas jānte haiñ koī hasīñ kitnā hai
dekhtā hai vo mujhe lutf se gaahe gaahe
āñktā hai ki ġhanī ḳhāk-nashīñ kitnā hai
ek taḳh.īl ke jañgal pe tasarruf thā pa ab
ye ilāqa bhī mire zer-e-nagīñ kitnā hai
tum ne kis shaḳhs kī tasvīr banā.ī hai 'suhail'
rañg kitnā hai kahīñ aur kahīñ kitnā hai