imkān khule dar kā har aan bahut rakkhā
is gumbad-e-be-dar ne hairān bahut rakkhā
ābād kiyā dil ko hañgāma-e-hasrat se
sahrā-e-tag-o-dau ko vīrān bahut rakkhā
ik mauj-e-fanā thī jo roke na rukī āḳhir
dīvār bahut khīñchī darbān bahut rakkhā
tāroñ meñ chamak rakkhī phūloñ meñ mahak rakkhī
aur ḳhaak ke putle meñ imkān bahut rakkhā
jaltī huī battī se gul phuuT nikalte haiñ
mushkil se bhī mushkil ko āsān bahut rakkhā
kuchh hai jo nahīñ hai bas vo kyā hai ḳhudā jaane
yuuñ apnī samajh se ham sāmān bahut rakkhā
mashkūk hai ab har shai āñkhoñ meñ 'suhail' apnī
ham ne but-e-kāfir par īmān bahut rakkhā