faqīh-e-shahr se rishta banā.e rahtā huuñ
sharīf ghar kā huuñ izzat bachā.e rahtā huuñ
magar ye raah to is tarah tai nahīñ hogī
maiñ donoñ paañv zamīñ par jamā.e rahtā huuñ
akele shaḳhs pe dushman diler hote haiñ
to saath meñ koī qissa lagā.e rahtā huuñ
banā.e kuchh nahīñ bantī zamīñ pe jab mujh se
to āsmān ko sar par uThā.e rahtā huuñ
abhī kahāñ koī naubat hai marne jiine kī
zarā azīzoñ ko yuuñ hī Darā.e rahtā huuñ
kisī faqīr ke tāvīz kī tarah 'zaidī'
maiñ zer-e-sañg tamannā dabā.e rahtā huuñ