Suhail Ahmed Zaidi

duniya ke kuchh na kuchh to talabgar se rahe

Suhail Ahmed Zaidi

1930-2007
duniyā ke kuchh na kuchh to talabgār se rahe
ham apnī hī nazar meñ ḳhatā-kār se rahe
ik marhala thā ḳhatm huā dasht-e-ḳhvāb kā
phir umr bhar jahāñ rahe be-zār se rahe
jur.at kisī ne vādī-e-vahshat kī phir na kī
ham ḳhasta-hāl āhanī dīvār se rahe
ik aks hai jo saath nahīñ chhoḌtā kabhī
ham tā-hayāt ā.īna-bardār se rahe
har sub.h apne ghar meñ usī vaqt jāgnā
āzād log bhī to giraftār se rahe
kār-e-azīm kab koī qudrat meñ thā 'suhail'
ham bas ufuq pe sub.h ke āsār se rahe
Top Urdushayar.com