Suhail Ahmed Zaidi

nawah-e-jaan mein kahin abtari si lagti hai

Suhail Ahmed Zaidi

1930-2007
navāh-e-jāñ meñ kahīñ abtarī sī lagtī hai
sukūn ho to ajab bekalī sī lagtī hai
ik aarzū mujhe kyā kyā fareb detī hai
bujhe charāġh meñ bhī raushnī sī lagtī hai
ga.ī rutoñ ke tasarruf meñ aa gayā shāyad
ab āñsuoñ meñ lahū kī kamī sī lagtī hai
usī ko yaad dilātā hai baar baar dimāġh
vo ek baat jo dil meñ anī sī lagtī hai
ki roz ek nayā gul khilātī rahtī hai
ye kā.enāt kisī kī galī sī lagtī hai
kabhī to lagtā hai gumrāh kar ga.ī mujh ko
suḳhan-varī kabhī paiġhambarī sī lagtī hai
janāb-e-shaiḳh kī mahfil se uTh chalo ki 'suhail'
yahāñ to nabz-e-do-ālam rukī sī lagtī hai
Top Urdushayar.com