Suhail Ahmed Zaidi

jaisa hamein guman tha waisa nahin raha

Suhail Ahmed Zaidi

1930-2007
jaisā hameñ gumān thā vaisā nahīñ rahā
qissa bhī iḳhtitām pe qissa nahīñ rahā
ik ḳhauf saath saath hai ūñche makān kā
aisā nahīñ ki shahr meñ saaya nahīñ rahā
sailāb apne saath bahā le gayā use
niilā subuk-ḳhirām vo dariyā nahīñ rahā
kashtī ke bādbān meñ simTī rahī havā
lutf-e-safar ki maiñ thā akelā nahīñ rahā
miltī hai biich biich meñ shahroñ kī raushnī
sahrā kā gasht khel-tamāshā nahīñ rahā
kahte nahīñ ho sher buzurgoñ kī tarz par
tum ko 'suhail' ḳhauf ḳhudā kā nahīñ rahā
Top Urdushayar.com