safar meñ ab bhī ādatan sarāb dekhtā huuñ maiñ
qarīb-e-marg zindagī ke ḳhvāb dekhtā huuñ maiñ
havā ne harf-e-sāda mere zehn se uḌā liyā
to ab har ek baat par kitāb dekhtā huuñ maiñ
bahār kī savāriyoñ ke ham-rikāb kyuuñ rahe
ḳhizāñ kā barg-o-bār par itaab dekhtā huuñ maiñ
khaḌā huuñ nok-e-ḳhār par gumān-dar-gumān par
khulegā kab haqīqatoñ kā baab dekhtā huuñ maiñ
ajiib us kī sarvarī na.ī hai shaan har ghaḌī
banoñ meñ shahr, shahr meñ sarāb dekhtā huuñ maiñ
nazar-fareb Dhañg haiñ sitamgaroñ ke rañg haiñ
nigah meñ qahr haath meñ gulāb dekhtā huuñ maiñ
ġhazal se chheḌ-chhāḌ ko gunāh jāntā thā maiñ
magar ab is gunāh meñ savāb dekhtā huuñ maiñ
'suhail' shaam Dhal ga.ī dukān apnī baḌh ga.ī
zarā sī raushnī hai aur hisāb dekhtā huuñ maiñ