safar karo to ik aalam dikhā.ī detā hai
qad apnā pahle se kuchh kam dikhā.ī detā hai
maiñ ḳhushk shāḳh-e-ḳhazāñ pe yūñhī nahīñ baiThā
yahāñ se abr kā parcham dikhā.ī detā hai
magar tanā huā rahtā hai kam-nasīboñ se
ye āsmāñ jo tumheñ ḳham dikhā.ī detā hai
har ek haath meñ patthar kahāñ se ā.eñge
tamām shahr to barham dikhā.ī detā hai
ḳhud apne zaḳhm pe itnā hazīñ na ho ki 'suhail'
saf-e-adū meñ bhī mātam dikhā.ī detā hai