kabhī kabhī arz-e-ġham kī ḳhātir ham ik bahānā bhī chāhte haiñ
jab āñsuoñ se bharī hoñ āñkheñ to muskurānā bhī chāhte haiñ
vo dil se tañg aa ke aaj mahfil meñ husn kī tamkanat kī ḳhātir
nazar bachānā bhī chāhte haiñ nazar milānā bhī chāhte haiñ
mazā jab aa.e ki intiqāman maiñ dil kā ā.īna toḌ Dālūñ
mire hī hāthoñ saje haiñ aur ab mujhī pe chhānā bhī chāhte haiñ
jabhī to ḳhud aaj shahr ke gul-ruḳhoñ kī tārīf kar rahe haiñ
vo intiḳhāb-e-nazar ko mere ab āzmānā bhī chāhte haiñ
agarche tūfān-e-rañg-o-bū kī sharīr lahroñ se thak chuke haiñ
magar vo dil ke na.e talātum kī zad meñ aanā bhī chāhte haiñ
'salām' āzād shā.erī kī tavīl o dushvār raah meñ ham
kabhī kabhī barbat-e-taġhazzul pe gungunā bhī chāhte haiñ