ho chukā va.az kā asar vaa.iz
ab to rindoñ se dar-guzar vaa.iz
sub.h-dam ham se tū na kar takrār
hai hameñ pahle dard-e-sar vaa.iz
bazm-e-rindāñ meñ ho agar shāmil
phir tujhe kuchh nahīñ ḳhatar vaa.iz
va.az apnā ye bhuul jaa.e tū
aave gar yār-e-sīm-bar vaa.iz
hai ye murġh-e-sahar se bhī faa.iq
sub.h uThtā hai peshtar vaa.iz
masjid-o-ka.aba meñ tū phirtā hai
kū-e-jānāñ se be-ḳhabar vaa.iz
shor-o-ġhul band to nahīñ kartā
hai tū insāñ ki koī ḳhar vaa.iz
zāhirī va.az se hai kyā hāsil
apne bātin ko saaf kar vaa.iz
banda-e-kū-e-yār hai 'bahrām'
terī masjid se kyā ḳhabar vaa.iz