Bahram ji

bahs kyun hai kafir-o-din-dar ki

Bahram ji

bahs kyuuñ hai kāfir-o-dīñ-dār kī
sab hai qudrat dāvar-e-davvār kī
ham saf-e-''qālu-balā'' meñ kyā na the
kuchh na.ī ḳhvāhish nahīñ dīdār kī
DhūñDh kar dil meñ nikālā tujh ko yaar
tū ne ab mehnat mirī be-kār kī
shakl-e-gul meñ jalva karte ho kabhī
gaah sūrat bulbul-e-gulzār kī
aap aate ho kabhī sub.ha-ba-kaf
karte ho ḳhvāhish kabhī zunnār kī
lan-tarānī aap kī muusā se thī
har jagah hājat nahīñ inkār kī
ḳhaas haiñ maqtūl-e-shamshīr-e-jafā
kuchh to lazzat hai tirī talvār kī
dair-o-ka.aba meñ kalīsā meñ phire
har jagah ham ne talāsh-e-yār kī
sab kī hai taqdīr tere haath meñ
kyā shikāyat muslim o kuffār kī
ham meñ jauhar the ibādat ḳhaas ke
kar diyā insāñ ye miTTī ḳhvār kī
mahr-o-mah ko umr bhar dekhā kiye
thī tamannā rū-e-pur-anvār kī
aur ai 'bahrām' ik likkho ġhazal
aap ko qillat nahīñ ash.ār kī
Top Urdushayar.com