Bahram ji

rakha sar par jo aaya yar ka KHat

Bahram ji

rakhā sar par jo aayā yaar kā ḳhat
gayā sab dard-e-sar kiyā thā davā ḳhat
diyā ḳhat aur huuñ qāsid ke pīchhe
huā tāsīr meñ kyā kahrubā ḳhat
vahīñ qāsid ke muñh par pheñk maarā
diyā qāsid ne jab jā kar mirā ḳhat
hai lāzim haal ḳhairiyyat kā likhnā
kabhī to bhej o nā-āshnā ḳhat
rahā mamnūn kāġhaz-sāz kā maiñ
sunā degā use sab mājrā ḳhat
patā miltā nahīñ us be-nishāñ kā
liye phirtā hai qāsid jā-ba-jā ḳhat
rahī hasrat ye saarī umr 'bahrām'
na mujh ko yaar ne hargiz likhā ḳhat
Top Urdushayar.com