Bahram ji

duniya mein ibaadat ko teri aae hue hain

Bahram ji

duniyā meñ ibādat ko tirī aa.e hue haiñ
par husn-e-butāñ dekh ke ghabrā.e hue haiñ
afsos ibādat na tirī ho sakī ham se
gardan nahīñ uThtī hai ki sharmā.e hue haiñ
ilzām nahīñ tuur jo surma huā jal kar
muusā bhī tajallī se to sharmā.e hue haiñ
maiñ barhaman o shaiḳh kī takrār se samjhā
paayā nahīñ us yaar ko jhunjhlā.e hue haiñ
ka.abe se na raġhbat hameñ ne dair kī ḳhvāhish
ham ḳhāna-e-dil meñ jo use paa.e hue haiñ
hai kaun sī jā ho jo tire jalve se ḳhālī
mazmūn ham ab dil meñ yahī laa.e hue haiñ
zillat ke ḳharīdār hue hirs ke bande
hājat ke liye haath jo phailā.e hue haiñ
jis qaum meñ dekhā to tajassus tirā paayā
ma.abad tire har qaum meñ Thahrā.e hue haiñ
'bahrām' ġhazal aur bhī ik un ko sunā de
mushtāq tirī bazm meñ sab aa.e hue haiñ
Top Urdushayar.com