Bahram ji

ghamgin nahin hun dahr mein to shad bhi nahin

Bahram ji

ġhamgīñ nahīñ huuñ dahr meñ to shaad bhī nahīñ
ābād agar nahīñ huuñ to barbād bhī nahīñ
miltī tirī vafā kī mujhe daad bhī nahīñ
majnūñ nahīñ hai dahr meñ farhād bhī nahīñ
kahtā hai yaar jurm kī paate ho tum sazā
insāf agar nahīñ hai to be-dād bhī nahīñ
insāñ kī qadr kyā hai jo ho tere rū-ba-rū
tere muqāble meñ parī-zād bhī nahīñ
afsos kis se yaar kī khinchvā.iye shabīh
'mānī' nahīñ jahāñ meñ hai 'bahzād' bhī nahīñ
kartā hai uzr-e-jaur-o-jafā yaar tū abas
honā jo thā huā vo hameñ yaad bhī nahīñ
kushta huā huuñ abrū-e-ḳhamdār-e-yār kā
mere liye zarūrat-e-jallād bhī nahīñ
hasrat bhare hue ga.e duniyā se saikaḌoñ
tasdīq kis se kījiye shaddād bhī nahīñ
'bahrām' mere zor-e-tabī.at se hai suḳhan
shāgird maiñ nahīñ huuñ to ustād bhī nahīñ
Top Urdushayar.com