Bahram ji

kufr ek rang-e-qudrat-e-be-intiha mein hai

Bahram ji

kufr ek rañg-e-qudrat-e-be-intihā meñ hai
jis but ko dekhtā huuñ vo yād-e-ḳhudā meñ hai
āshiq hai jo ki jāma-e-sidq-o-safā meñ hai
ma.ashūq hai jo parda-e-hilm-o-hayā meñ hai
aalam hai mast sajda-e-jānāñ meñ tā-abad
mastī balā kī bāda-e-''qālū-balā'' meñ hai
īmāñ hai aks-e-ruḳh to hai gesū kā aks-e-kufr
vo kaun chiiz hai jo tirī mā-sivā meñ hai
abrū ke mahv ka.abe meñ sūrat ke dair meñ
ushshāq ruḳh kā silsila nūr-o-ziyā meñ hai
be-jalva-gāh-e-yār kahāñ ye rujū-e-ḳhalq
bahs-e-fuzūl barhaman-o-pārsā meñ hai
juuyā hai bas ki āriz-o-gesū-e-yār kā
pāband shaiḳh sajda-e-sub.h-o-masā meñ hai
raftār mo.ajaza hai to hai sehr chaal meñ
shoḳhī ajab tarah kī tire naqsh-e-pā meñ hai
terī taraf ko muslim o kāfir kī hai rujū
puujā meñ barhaman hai to zāhid duā meñ hai
maqtūl lākhoñ ho chuke shā.eq hazār-hā
lazzat ajiib yaar kī teġh-e-jafā meñ hai
ik pech-o-ḳham meñ gabr-o-musalmāñ haiñ mubtalā
vus.at balā kī yaar kī zulf-e-rasā meñ hai
'bahrām' āshiqāna ġhazal ek aur bhī
quvvat abhī bahut tirī fikr-e-rasā meñ hai
Top Urdushayar.com