Bahram ji

kiya hai sandalin-rangon ne dar band

Bahram ji

kiyā hai sandalīñ-rañgoñ ne dar band
mirā ho kis tarah se dard-e-sar band
nahīñ haiñ tere dām-e-zulf meñ dil
laTakte haiñ hazāroñ murġh par-band
nahīñ but-ḳhāna o ka.aba pe mauqūf
huā har ek patthar meñ sharar band
raqīboñ se huī hai bazm ḳhālī
karo darvāza be-ḳhauf-o-ḳhatar band
tamāshā band āñkhoñ meñ hai mujh ko
huī merī ba-zāhir chashm-e-tar band
nahīñ duniyā meñ āzādī kisī ko
hai din meñ shams aur shab ko qamar band
dikhāo mai-kasho ab zor-e-mastī
kiyā zāhid ne mai-ḳhāne kā dar band
dar-e-jānāñ bhī ik marja.a hai 'bahrām'
hujūm-e-āshiqāñ hai rahguzar band
Top Urdushayar.com