ham na but-ḳhāne meñ ne masjid-e-vīrāñ meñ rahe
hasrat-o-ārzū-e-jalva-e-jānāñ meñ rahe
ḳhuuñ hai vo jis se ki ho dāman-e-qātil rañgīñ
ḳhuun fāsid hai jo ḳhālī sar-e-mizhgāñ meñ rahe
ham ne masnūa se saan.e kī haqīqat paa.ī
be-sabab ham nahīñ nazzāra-e-ḳhūbāñ meñ rahe
sub.h ḳhurshīd ko dekhā havas-e-āriz meñ
shaam se raushnī-e-sham-e-shabistāñ meñ rahe
toḌā zunnār ko tasbīh ko pheñkā ham ne
ishq-e-ruḳh thā havas-e-nūr-e-daraḳhshāñ meñ rahe
jā-ba-jā ham ko rahī jalva-e-jānāñ kī talāsh
dair-o-ka.aba meñ phire sohbat-e-rahbāñ meñ rahe
ḳhalvat-e-dil kī na kuchh qadr ko samjhe haajī
tauf-e-ka.aba ke liye dasht-o-bayābāñ meñ rahe
un asīroñ ko hui qaid-e-ta.ayyun se najāt
jo ki pāband tire gesu-e-pechāñ meñ rahe
is zamīñ meñ ġhazal ik aur bhī likkho 'bahrām'
ye do-ġhazla to bhalā aap ke dīvāñ meñ rahe