Bahram ji

dur ho dard-e-dil ye aur dard-e-jigar kisi tarah

Bahram ji

duur ho dard-e-dil ye aur dard-e-jigar kisī tarah
aaj to ham-nashīñ use lā mire ghar kisī tarah
tīr-e-mizha ho yaar kā aur nishāna dil mirā
tiir pe tiir tā-ba-kai kiije hazar kisī tarah
naala ho yā ki aah ho shaam ho yā pagāh ho
dil meñ butoñ ke haa.e haa.e kiije asar kisī tarah
aa.ī shab-e-firāq hai raat hai saḳht ye bahut
kiije shumār-e-aḳhtarāñ tā ho sahar kisī tarah
ishq meñ dil se ham hue mahv tumhāre ai buto
ḳhālī haiñ chashm-o-dil karo in meñ guzar kisī tarah
Top Urdushayar.com