kaho to naam maiñ de duuñ ise mohabbat kā
jo ik alaav hai jaltī huī rifāqat kā
jise bhī dekho chalā jā rahā hai tezī se
agarche kaam yahāñ kuchh nahīñ hai ujlat kā
dikhā.ī detā hai jo kuchh kahīñ vo ḳhvāb na ho
jo sun rahī huuñ vo dhokā na ho samā.at kā
yaqīn karne lage log rut badaltī hai
magar ye sach bhī karishma na ho ḳhitābat kā
sañvārtī rahī ghar ko magar ye bhuul ga.ī
ki muḳhtasar hai ye arsa yahāñ sukūnat kā
chalo ki is meñ bhī ik-ādh kaam kar Dāleñ
jo mil gayā hai ye lamha zarā sī mohlat kā