jin ḳhvāhishoñ ko dekhtī rahtī thī ḳhvāb meñ
ab likh rahī huuñ un ko haqīqat ke baab meñ
ik jhiil ke kināre parindoñ ke darmiyāñ
sūraj ko hote dekhā thā tahlīl aab meñ
ḳhvāboñ par iḳhtiyār na yādoñ pe zor hai
kab zindagī guzārī hai apne hisāb meñ
ik haath us kā jaal pe patvār ek meñ
aur Dūbtā vajūd mirā sail-e-āb meñ
purvā.ī chal ke aur bhī vahshat baḌhā ga.ī
halkī sī aa ga.ī thī kamī iztirāb meñ