Fatima Hasan

meri zamin pe lagi aap ke nagar mein lagi

Fatima Hasan

Karachi, Sindh, Pakistan

1953
mirī zamīñ pe lagī aap ke nagar meñ lagī
lagī hai aag jahāñ bhī kisī ke ghar meñ lagī
ajiib raqs ki vahshat kī taal hai jis meñ
ajiib taal jo aaseb ke asar meñ lagī
kivāḌ band kahāñ muntazir the aahaT ke
lagī jo der to dahlīz tak safar meñ lagī
tamām ḳhvāb the vābasta us ke hone se
so merī aañkh bhī bas sāya-e-shajar meñ lagī
hisār-e-zāt nahīñ thā tilism-e-ishq thā vo
ḳhabar huī to magar der is ḳhabar meñ lagī
dahakte rañg the jo āsmān chhūte the
khile the phuul ki ik aag sī shajar meñ lagī
adhūre lafz the āvāz ġhair-vāzeh thī
duā ko phir bhī nahīñ der kuchh asar meñ lagī
palaT ke dekhā to bas hijrateñ thiiñ dāman meñ
agarche umr yahāñ ik guzar-basar meñ lagī
parind lauT kar aa.e the kin zamīnoñ se
kahāñ kī dhuul thī jo un ke bāl-o-par meñ lagī
Top Urdushayar.com