zamīñ se rishta-e-dīvār-o-dar bhī rakhnā hai
sañvārne ke liye apnā ghar bhī rakhnā hai
havā se aag se paanī se muttasil rah kar
inhīñ se apnī tabāhī kā Dar bhī rakhnā hai
makāñ banāte hue chhat bahut zarūrī hai
bachā ke sehn meñ lekin shajar bhī rakhnā hai
ye kyā safar ke liye hijrateñ javāz baneñ
jo vāpsī kā ho aisā safar bhī rakhnā hai
hamārī nasl sañvartī hai dekh kar ham ko
so apne-āp ko shaffāf-tar bhī rakhnā hai
havā ke ruḳh ko badalnā agar nahīñ mumkin
havā kī zad pe safar kā hunar bhī rakhnā hai
nishān-e-rāh se baḌh kar haiñ ḳhvāb manzil ke
inheñ bachānā hai aur raah par bhī rakhnā hai
javāz kuchh bhī ho itnā to sab hī jānte haiñ
safar ke saath javāz-e-safar bhī rakhnā hai