rukā javāb kī ḳhātir na kuchh savāl kiyā
magar ye zo.am ki har rābta bahāl kiyā
thakan nahīñ hai kaThin rāstoñ pe chalne kī
bichhaḌne vāloñ ke dukh ne bahut niDhāl kiyā
jo TūTnā thā faqat dard hī kā rishta thā
to dil ne kyuuñ bhalā is baat par malāl kiyā
bachā ke rakhnā thā ik aks apnī āñkhoñ meñ
baḌe jatan se unheñ ā.īna-misāl kiyā
lahū meñ tair ga.ī vo ghaḌī judā.ī kī
ki jis ke zahr ne jiinā mirā muhāl kiyā
bichhaḌ rahā thā magar muḌ ke dekhtā bhī rahā
maiñ muskurātī rahī maiñ ne bhī kamāl kiyā
ḳhabar thī us ko ki dasht-e-hunar se aa.ī huuñ
so us ke lafzoñ ne zaḳhmoñ kā indimāl kiyā