maiñ TuuT kar use chāhūñ ye iḳhtiyār bhī ho
sameT legā mujhe is kā e'tibār bhī ho
na.ī rutoñ meñ vo kuchh aur bhī qarīb aa.e
ga.ī rutoñ kā sulagtā sā intizār bhī ho
maiñ us ke saath ko har lamha mo'tabar jānūñ
vo ham-safar hai to mujh sā hī be-dayār bhī ho
mire ḳhulūs kā andāz ye bhī sachchā hai
rakhkhūñ na rabt magar dostī shumār bhī ho
safar pe niklūñ to rasm-e-safar badal jaa.e
kināra baḌh ke kabhī ḳhud hī ham-kanār bhī ho