yādoñ ke sab rañg uḌā kar tanhā huuñ
apnī bastī se duur aa kar tanhā huuñ
koī nahīñ hai mere jaisā chāroñ or
apne gird ik bhiiḌ sajā kar tanhā huuñ
jitne log haiñ utnī hī āvāzeñ haiñ
lahjoñ kā tūfān uThā kar tanhā huuñ
raushniyoñ ke aadī kaise jāneñge
āñkhoñ meñ do diip jalā kar tanhā huuñ
jis manzar se guzrī thī maiñ us ke saath
aaj usī manzar men aa kar tanhā huuñ
paanī kī lahroñ par bahtī āñkhoñ meñ
kitne bhūle ḳhvāb jagā kar tanhā huuñ
merā pyārā sāthī kab ye jānegā
dariyā kī āġhosh tak aa kar tanhā huuñ
apnā aap bhī kho dene kī ḳhvāhish meñ
us kā bhī ik naam bhulā kar tanhā huuñ