āñkhoñ meñ na zulfoñ meñ na ruḳhsār meñ dekheñ
mujh ko mirī dānish mire afkār meñ dekheñ
malbūs badan dekheñ haiñ rañgīn qabā meñ
ab pairahan-e-zāt ko iz.hār meñ dekheñ
sau rañg mazāmīn haiñ jab likhne pe aa.uuñ
gul-dasta-e-ma.anī mire ash.ār meñ dekheñ
puurī na adhūrī huuñ na kam-tar huuñ na bartar
insān huuñ insān ke me.aar meñ dekheñ
rakkhe haiñ qadam maiñ ne bhī tāroñ kī zamīñ par
pīchhe huuñ kahāñ aap se raftār meñ dekheñ
mansūb haiñ insān se jitne bhī fazā.el
apne hī nahīñ mere bhī atvār meñ dekheñ
kab chāhā ki sāmān-e-tijārat hameñ samjheñ
laa.e the hameñ aap hī bāzār meñ dekheñ
us qādir-e-mutlaq ne banāyā hai hameñ bhī
ta.amīr kī ḳhūbī usī me.amār meñ dekheñ