phir yuuñ huā ki zindagī merī nahīñ rahī
us kī nahīñ rahī to kisī kī nahīñ rahī
vo ham-safar thā kashtī pe māñjhī bhī thā vahī
dariyā vahī hai maiñ bhī huuñ kashtī nahīñ rahī
badlā jo us kā lahja to sab kuchh badal gayā
chāhat meñ Dhal ke jaisī thī vaisī nahīñ rahī
peḌoñ meñ chhāñv phuul meñ ḳhushbū hai apnā rañg
vīrānī baḌh ga.ī hai ki bastī nahīñ rahī
kachche makān jaise gharauñde se kheltī
puḳhta huā jo sahn to miTTī nahīñ rahī
ik e'tirāf-e-ishq thā jo kar nahīñ sakī
ḳhāmosh is liye huuñ ki sachchī nahīñ rahī