jaatā hai jo gharoñ ko vo rasta badal diyā
āñdhī ne mere shahr kā naqsha badal diyā
pahchān jin se thī vo havāle miTā diye
us ne kitāb-e-zāt kā safha badal diyā
kitnā ajiib hai vo musavvir ki ġhaur se
dekhe jo ḳhadd-o-ḳhāl to chehra badal diyā
vo khel thā mazāq thā yā ḳhauf thā koī
ik chaal chal ke us ne jo mohra badal diyā
kartā rahā asīrī ke ehsās ko shadīd
zanjīr khol dī kabhī pahrā badal diyā