ruuh kī maañg hai vo jism kā sāmān nahīñ
us kā milnā mujhe mushkil na ho āsān nahīñ
koī dam aur hai bas ḳhaak hue jaane meñ
ḳhaak bhī aisī ki jis kī koī pahchān nahīñ
Thes kuchh aisī lagī hai ki bikharnā hai use
dil meñ dhaḌkan kī jagah dard hai aur jaan nahīñ
bojh hai ishq to phir kaise sambhāleñ us ko
duur tak saath chaleñ is kā to imkān nahīñ
muḳhtalif samt bahā.e liye jaatā hai hameñ
vaqt ke saath hamārā koī paimān nahīñ
'fātima' dard ke rishte se kinārā karnā
be-hisī kah lo ise ye koī nirvān nahīñ