Shaanul Haq Haqqi

jahan-e-dil mein hue inqalab aur hi kuchh

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
jahān-e-dil meñ hue inqalāb aur hī kuchh
mirī nigāh ne dekhe the ḳhvāb aur hī kuchh
mile haiñ tālib-e-īfā ko kuchh na.e va.ade
savāl aur hī kuchh thā javāb aur hī kuchh
Darā na nār-e-jahannam se mujh ko ai vaa.iz
mire janam meñ likhe haiñ azaab aur hī kuchh
sajā ke laa.e the kuchh log nāma-e-a.amāl
miyān-e-hashr huā ehtisāb aur hī kuchh
mirī nigāh ko ik umr meñ milā ye bhed
ki husn aur hī kuchh hai shabāb aur hī kuchh
huā hai sail-e-subuk-pā fishār-e-bād se gum
ye aayā marhala-e-inqilāb aur hī kuchh
nahīñ haiñ sat.h pe zāhir abhī nishāñ jis ke
butūn-e-getī meñ hai pech-o-tāb aur hī kuchh
Top Urdushayar.com