Shaanul Haq Haqqi

mohabbat Khaar-e-daman ban ke ruswa ho gai aaKHir

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
mohabbat ḳhār-e-dāman ban ke rusvā ho ga.ī āḳhir
ye aqlīm-e-azīzāñ be-zuleḳhā ho ga.ī āḳhir
bisāt-e-ārzū tasvīr-e-sahrā ho ga.ī āḳhir
vo hañgāmoñ kī bastī ho kī duniyā ho ga.ī āḳhir
nishān-e-sub.h yuuñ gum hai ki ab nikle na jab nikle
udhar andāz-e-shab aisā ki goyā ho ga.ī āḳhir
mirī āñkhoñ kā bas ik ḳhvāb thī vo hasrat-e-pinhāñ
jo ḳhud un kī nigāhoñ kā taqāzā ho ga.ī āḳhir
qalam ko hai usī sūrat-kade kī justujū ya.anī
kahīñ pinhāñ thī vo sūrat jo paidā ho ga.ī āḳhir
faqat īmāñ hī kyā pāmāl haiñ īmāñ-shikan lākhoñ
diloñ kī vo matā-e-kāfirī kyā ho ga.ī āḳhir
numūd-e-sub.h-e-va.ada se to ḳhair ummīd hī kyā thī
vo furqat kī shab-e-hañgāma-ārā ho ga.ī āḳhir
kabhī ye larzisheñ sāz-āshnā hoñgī to dekhoge
diloñ kī be-kalī āshob-e-dariyā ho ga.ī āḳhir
ham apne chāk-e-dāman par bahut rusvā rahe 'haqqī'
nazar ā.īn-e-mahfil se shanāsā ho ga.ī āḳhir
Top Urdushayar.com