Shaanul Haq Haqqi

ai dil ab aur koi qissa-e-duniya na suna

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
ai dil ab aur koī qissa-e-duniyā na sunā
chheḌ de zikr-e-vafā haañ koī afsāna sunā
ġhībat-e-dahr bahut gosh-e-gunahgār meñ hai
kuchh ġham-e-ishq ke ausāf-e-karīmāna sunā
kār-e-dīroz abhī āñkhoñ se kahāñ simTā hai
ḳhuuñ rulāne ke liye qissa-e-fardā na sunā
dāman-e-bād ko hai daulat-e-shabnam kaafī
ruuh ko zikr-e-tunuk-baḳhshi-e-dariyā na sunā
sunte haiñ us meñ vo jaada hai ki dil chiiz hai kyā
sunte haiñ us pe vo aalam hai ki dekhā na sunā
gosh-e-behosh vo kyā jis ne ki hañgām-e-navā
koī naala hī lab-e-nai se nikaltā na sunā
ham-nashīñ pardagi-e-rāz ise kahte haiñ
lab-e-sāġhar se kisī rind kā charchā na sunā
kuchh ajab chaal se jaatā hai zamāna ab ke
hashr dekhe haiñ magar hashr kā ġhauġhā na sunā
baḌh gayā roz-e-qayāmat se shab-e-ġham kā sukūt
jism-e-ādam meñ kahīñ dil hī dhaḌaktā na sunā
nauha-e-ġham koī us bazm meñ chheḌe kyūñkar
jis ne gītoñ ko bhī bā-ḳhātir-e-begāna sunā
Top Urdushayar.com