Shaanul Haq Haqqi

ai dil tere KHayal ki duniya kahan se laen

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
ai dil tire ḳhayāl kī duniyā kahāñ se laa.eñ
in vahshatoñ ke vāste sahrā kahāñ se laa.eñ
hasrat to hai yahī ki ho duniyā se dil ko mel
ho jis se dil ko mel vo duniyā kahāñ se laa.eñ
dekhā thā jo nihāl-e-tamannā ke saa.e meñ
ai be-dilī vo dil dil-e-afzā kahāñ se laa.eñ
raushan the jo kabhī vo nazāre kidhar ga.e
barpā thā jo kabhī vo tamāshā kahāñ se laa.eñ
kyā us nigāh-e-hausla-afzā ko deñ javāb
gum kar diyā jise vo tamannā kahāñ se laa.eñ
hai lutf-e-dost harf-e-taqāzā kā muntazir
ai bebasī majāl-e-tamannā kahāñ se laa.eñ
'haqqī' bahut hai kār-e-junūñ dasht-e-zīst meñ
āsūdgān-e-rāh vo saudā kahāñ se laa.eñ
Top Urdushayar.com