Shaanul Haq Haqqi

ummid ke ufuq se na uTTha ghubar tak

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
ummīd ke ufuq se na uTThā ġhubār tak
dekhī agarche rāh-ḳhizāñ se bahār tak
rakhne ko tere vāda-e-nā-mo'tabar kī laaj
jhelī hai dil ne zahmat-e-sabr-o-qarār tak
dekhā hai kis ne muñh sahar-e-jalva-sāz kā
sab valvale haiñ ek shab-e-intizār tak
sayyād ke sitam se rihā.ī kā zikr kyā
sau daam the qafas se sar-e-shāḳh-sār tak
mātam ye hai ki zauq-e-fuġhāñ bhī nahīñ nasīb
be-soz ho gayā nafas-e-shola-kār tak
jaatī hai dil kī hasrat-e-nazzārgī kahāñ
nazzāra ho gayā hai nigāhoñ pe baar tak
kyā us kī shān-e-banda-navāzī kā pūchhnā
baḳhshā hai muflisoñ ko ġham-e-shāh-vār tak
phir us ke baad dil meñ na utrī koī nigāh
vo teziyāñ rahīñ tire ḳhanjar kī dhaar tak
'haqqī' se sargirāñ hī sahī nukta-dān-e-sher
ik rañg hai ki hai kuchh isī jān-e-hār tak
Top Urdushayar.com