Shaanul Haq Haqqi

chup hai wo mohr-ba-lab main bhi rahun achchha hai

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
chup hai vo mohr-ba-lab maiñ bhī rahūñ achchhā hai
halkā halkā ye mohabbat kā fusūñ achchhā hai
mausam-e-gul na sahī shaġhl-e-junūñ achchhā hai
hamdamo! tez rahe gardish-e-ḳhūñ, achchhā hai
tum bhī karte rahe talqīn sakūñ kī ḳhātir
maiñ bhī āvāra o sar-gashta rahūñ achchhā hai
vo bhī kiyā ḳhuun ki ho jabr kī buniyād meñ jazb
jo yūñhī muft meñ bah jaa.e vo ḳhuuñ achchhā hai
baat vo aa.ī hai lab par ki kahe bin na rahūñ
aql jaame se ho bāhar to junūñ achchhā hai
gar bhaTakne hī kī Thānī hai rafīqoñ ne to ḳhair
muñh se kuchh kah na sakūñ saath to duuñ achchhā hai
dil kā ahvāl ki kuchh zikr-e-zamāna chheḌūñ
baat yuuñ chheḌnā achchhā hai ki yuuñ achchhā hai
maiñ ne kyā kyā na kahā sher meñ un se 'haqqī'
vo faqat sun ke ye kahte rahe huuñ achchhā hai
Top Urdushayar.com