nikle tirī duniyā ke sitam aur tarah ke
darkār mire dil ko the ġham aur tarah ke
tum aur tarah ke sahī ham aur tarah ke
ho jaa.eñ bas ab qaul-o-qasam aur tarah ke
but-ḳhāne kā manzar ba-ḳhudā aaj hī dekhā
the mere tasavvur meñ sanam aur tarah ke
kartī haiñ mire dil se vo ḳhāmosh nigāheñ
kuchh ramz ishāroñ se bhī kam aur tarah ke
ġham hote rahe dil meñ kam-o-besh va-lekin
besh aur tarah ke hue kam aur tarah ke
māyūs talab jaan ke is dasht-e-havas meñ
yāroñ ne diye haiñ mujhe dam aur tarah ke
rahtī hai kisī aur taraf aas nazar kī
haiñ vaqt ke hāthoñ meñ alam aur tarah ke
rahbar kā to andāz-e-qadam aur hī kuchh thā
haiñ qāfile vāloñ ke qadam aur tarah ke
kuchh aur haiñ us husn-e-basantī kī adā.eñ
haiñ naaz nigārān-e-ajam aur tarah ke
kahte ho ki phīkī sī rūnakhī sī haiñ ġhazleñ
lo sher sunā.eñ tumheñ ham aur tarah ke
ye kis ne kiyā yaad kahāñ jaate ho 'haqqī'
kuchh aaj to paḌte haiñ qadam aur tarah ke